Manzil Tak Kaise Pahunche?

Date:

by Sajid Holy

Har insan ka aur khusoosan ek musalman ka apni zindagi me ek vision hona chahiye, ek mission hona chahiye, ek maqsad hona chahiye. Be-maqsad zindagi ki koi qeemat nahi. Yahi wajah hai ki aaj muslim identity ko koi salam nahi karta. Ba-maqsad zindagi aane wali naslo ke liye inspiration aur misaal ban jaati hai.

Ek to hota hai shohrat (fame), iqtedar (leadership and power) aur daulat (wealth) ki chahat is qadr rakhna ki wahi ek insan ki zindagi ka pehla aur aakhri maqsad ban jaye. Yeh bilkul jaiz nahi. Lekin agar insan is qadr mahnat’kash ho ki uske na chahte hue bhi log uski tareef karen, use tareef ka shauk na ho, aur use bemisaal qarnamo ki wajah se log use duaen de, uska naam aakhbaron ki surkhiyon me aur tareekh ke panno par sunehre lafzo me likha jaye, to isme kuchh galat nahi.

Agar insan apni qirdaar aur character ko larger than life samjhe aur yeh samjhe ki mujhe na sirf apne aap ke liye, na sirf apne aal aulaad aur gharwalo ke liye balki sari qaum o millat ke liye aur sari insaniyat ke liye kuchh aisa kar jana hai ki meri zindagi ek misal ban jaye aur mujhe Rabb ki qurbat bhi hasil ho jaye, dikhawe ke liye nahi, balki khalis sachhe dil se ikhlas e niyyat ke sath kuchh aisa kar jane ki tamanna jo har lihaz se khair ka bayas ho. Koi aisa invention jo logo ki zindagi aasan kar de. Koi aisi taleem koi aisa idaara (institute) jo imandaar zimmedaro ki nigrani me logo ke ander haqq ki dawat aur taleem ko phailata rahe.

Yeh raasta aasan nahi hai. Isme determination ki aur istiqamat ki zaroorat hai. Koi khwab poora nahi ho sakta jab tak use paseene se na nahlaya jaye. Kabhi to tan’tod (jism ko thaka dene wali) mehnat hoti hai aur kabhi to mann-tod (kadam kadam par logo ke taane, jhidkiyan aur tanqeeden sun sun kar dilo ko tod dene wali, hauslo ko pastt kar dene wali) jaddo jahad hoti hai.

Isme kaee rukawate hoti hai. Shaitan insan ka raasta rokne ki koshish karega, taki woh insaniyat ka bhala na kar sake. Uska apna nafs bhi use pichhe hatayega.  Woh mannne hi nahi dega ki mein bhi yeh achieve kar sakta hu.  Woh manne nahi dega ki mein aam insan nahi hu, mujhse Allah zaroor ba zaroor koi aisa azeem kaam lega jisse mera, mere logo ka aur insaniyat ka mustaqbil sanwar jaye.

Use aise logo ki dosti aur sohbat chhodni hogi jo aawara galiyon me ghum rahe hain ya to phir sirf entertainment aur lahw me zindagi guzar rahe hain. Use apne aapko yeh manwana padega ki mein inn jaisa insan nahi hu. Mein galiyon me, sadko par, parties me, cinema me aur hotels me chai ki chuskiyan lagate hue apni zindagi ka qeemti waqt zaya nahi kar sakta.  I am far greater than that. 

Jab ek insan baamaqsad zindagi jeeta hai to phir uske kadmo ko zindagi ki mamooli thokaren ruka nahi sakti. Woh dugune josh se aage badhta hai.  Kisi ki negative baten use mutassir nahi kar sakti ki woh apne maqsad ko bhool jaye. Uski nazar us nishane par hoti hai jo use paana hai aur uski nazar us manzil par hoti hai jaha use pahuchna hai. Woh har roz yeh sochega ki by the end of the day mein kis hadd tak apne khwab ki taqmeel karne ke direction me aage badha hu. Jise waqayi me kuchh paana hota hai, woh baaten kam karte hain aur kaam zyada. Aur sab se zyada kaam insan ko apne aap par karna padta hai, apne aap ko ander se mazboot banana, apne nafs ko control karna, beja khwahishat se, lahw se aur apne aapko aarasta karna, decorate karna positive thinking se, ki mein zaroor us manzil par pachungua jo mera haasil hai. Jab uske iraade mazboot ho jate hain to phir woh kayenat me apna loha manwa leta hai. Apne aapko prove karne ke liye use ab kisi daleel ki aur excuse ki zaroorat nahi padti kyonki uska amal e khair, uske positive actions khud use secure karte hain, use defend karte hain, use empower karte hain. 

Is raah me kaee martaba aisa hoga ki insan ko kabhi khud apne aap par to kabhi doosro par, apne gharwalo par, bachcho par, staff par, collegues par gussa bhi aayega, chidchidapan bhi aayega, khaas kar ke us waqt jab is process me koi chhote se muqaam par woh ruk jayega aur poora nahi kar payega. Yeh bahut hi nazook aur delicate marhala hota hai. Agar uska pair waha phisal gaya aur woh log jo uska asset, uska sarmaya the, jo uske mission me uska sath de rahe the, agar uska sath chhod de, to ho sakta hai use dobara zero se start karna pade, aisi situations ko use bahut hikmat se control karna hoga. Agar insan me sabr nahi aur halki si chhoti chhoti chize use disturb kar deti hai aur woh makhmal ki kaaleen par hi zindagi ka har lamha guzarna chahta hai to phir aise insan se koi ummeed nahi rakhi ja sakti.  Aaj musalmano ki aqasriyat ka yeh mijaz ho gaya hai. Hadees ka mafhoom hai ki agar gussa aata hai to baith jao aur agar baithe hue ho aur gussa aaye to let jao magar aaj logo ka yeh haal hai ki agar leta hua hai aur gussa aaye to fauran achanak aasteen chadha kar khada ho jata hai int ka jawab paththar se dene ke liye. 

Narated By Abu Dharr radiyallaho anho : The Prophet of Allah (sallallahu alaihi wa sallam) said to us: “When one of you becomes angry while standing, he should sit down. If the anger leaves him, well and good; otherwise he should lie down.” 

Abu Dawud Book 036, Hadith Number 4764

Chhoti chhoti bato me insan apne qareebi logo ko aise kalemaat keh deta hai ki “mein tujhse zindagi bhi baat nahi karunga”, “kabhi apni shakl mat dikhana”, “kabhi meri chaukhat par kadam nahi rakhna”, “meri mayyat par bhi na aana” wagairah! Use is duniya ko fatah karne se pahle logo ke dilon jo jeetna hoga, achhe akhlaaq se, ba’qirdaar ban kar aur achhe lafzo ka istemal karke ahsan andaz me logo se pesh aakar. 

Quran me aata hai–

“Kya tumne nahi dekha ki Allah ne paak kalima ki kaisi misal di hai ki woh mushaaba hai paakiza darakht ke jis ki jadd khoob mazboot hai aur shaakhen buland hoti hain aasman ki taraf. Woh darakht apne Rabb ke huqm se har fasl me apna phal laata hai, aur Allah logo ke liye misalen bayan karta hai taake woh nasihat pakden. Aur naapaak kalime ki misaal naapaak darakht ki si hai ke woh zameen ke oopar se hi ukhaad liya jaaye, use zara bhi qaraar nahi rehta. “

(Surah Ibrahim 14:24-26)

“Have you not considered how Allah presents an example, [making] a good word like a good tree, whose root is firmly fixed and its branches [high] in the sky? It produces its fruit all the time, by permission of its Lord. And Allah presents examples for the people that perhaps they will be reminded. And the example of a bad word is like a bad tree, uprooted from the surface of the earth, not having any stability.”

(Surah Ibrahim 14:24-26)

Ek purani Chinese kahawat hai ki “agar aap muskura nahi sakte to aapko dukaan nahi kholni chahiye!” Yahi wajah hai ki aaj China duniya ki har market par chhaya hua nazar aa raha hai aur har economy ko strong competition de raha hai.

Jis insan ka maqsad bada hota hai woh aisi chhoti chhoti baton me nahi ulajh sakta. Baamaqsad zindagi jeene wale insan ke ander taqabbur, ghamand, hasad, gussa aur bugz panap hi nahi sakta. Uske paas in chizo ke liye waqt hi nahi hota aur aise shaitani waswaso ke liye uske dil me kabhi jagah ho hi nahi sakti. Jis insan ko kuch extraordinary banana hota hai woh apne aap ko mehnat aur mashakkat ki bhatti me is qadr garam kar ke pighla deta hai ki uske ander ki sari negativity nikal jati hai aur use dikhta hai to sirf apna woh aalatareen maqsad jaha use pahuchna hai. Use nikalna hoga narrow mindedness ki giraft se, use us qaid se nikalna hoga jo use mehdood kar ke rakhti hai ki tere yeh limitations hai aur tu yeh kaam kar hi nahi sakta. Use doosro ko convince karne se pehle apne aapko yeh bharosa dilana hoga ki mein faltoo aur bekar chizo aur bure khayalato ko apne ander paalne ke liye nahi bana. Tab jaa kar use woh experience aur tajurba hasil hoga jo use  maqam o martabe tak us manzil tak le jayega, jaha pahuchne me qaumo ko sadiyan (centuries) lag gayi.

Share post:

Popular

Recent
Related

For Kuwait’s new emir, Saudi ties are seen as key

Kuwait (Reuters) - Sheikh Meshal al-Ahmad al-Sabah was named...

Pope Francis deplores Israeli killings of civilians at Gaza church

Vatican City (Reuters) - Pope Francis on Sunday again...

Palestinians must find new path from Israeli rule after war, top official says

Ramallah (Reuters) - Immediately after Israel's war in Gaza...

Israel says it struck Hezbollah sites after attacks from Lebanon

Jerusalem/Beirut (Reuters) - Israel said on Sunday it had...